"Mere Khwab - Tum Sang Ke Khwab" ek aisi shayari sangrah hai jo mohabbat ke har ehsaas ko shabdon mein piroti hai-ek aisi kahani jo dil se shuru hoti hai aur rooh tak jaati hai। Is kitaab mein pyaar ki gehraai, judaai ka dard, intezaar ki bechaini, aur yaadon ki mithaas ko madhur aur jazbaati alfazon mein sajaya gaya hai। Har kavita ek kahani hai-kabhi milne ki, kabhi bichhadne ki, kabhi sirf yaadon mein jeene ki। Yeh shayari sirf padhne ke liye nahi, mehsoos karne ke liye hai। Har pankti ek aaina hai jo kisi na kisi mod par aapki apni kahani dikhayegi। Agar aapne kabhi pyaar kiya hai, kisi ki yaadon mein khud ko kho diya hai, ya kisi adhuri kahani ka hissa rahe hain, toh yeh kitaab aapke dil ke kareeb zaroor aayegi। "Mere Khwab - Tum Ke Sang Khwab" sirf ek kitaab nahi, ek safar hai-jo shayari ke jazbaati samundar mein aapko doobne ka mauka dega। Tayaar ho is safar ke liye? Kyunki mohabbat sirf lafzon tak simit nahi, balki har shabd ek mehsoos ban jaata hai। Dr. Ravi Razz @Minorstudy_poetry
Bitte wählen Sie Ihr Anliegen aus.
Rechnungen
Retourenschein anfordern
Bestellstatus
Storno







